Back
Dosti Shayari

Jab Se Meri Aap Se Mulakat Ho Gayi Hai,
Dost Kahte Hain Aap Meri Jaan Ho Gayi Hai,

Azeeb Kashmkash Mein Uljha Hua Hun Main,
Ab Har Saans Meri Aapki Gulam Ho Gayi Hai,

Jab Se Aayi Hain Aap Meri Zindagi Mein,
Har Khushi Dil Se Hum-Zubaan Ho Gayi Hai,

Aapke Hothhon Par Kya Aayi Gazlein Meri,
Us Din Se Meri Har Shayari Bhi Jawaan Ho Gayi Hai,

Aap Chha Gaye Hain Meri Zindagi Pe Is Kadar,
Har Ek Meri Dhadkan Aapki Gulam Ho Gayi Hai,

Jee Chahta Hai Baahon Mein Samet Loon Aapko,
Sukun Chhin Gaya Hai, Neend Haraam Ho Gayi Hai,

Dekhkar Khuli Huyi Zulfein Aapki Eh Sanam,
Ghatayein Sham Ki Pareshaan Ho Gayi Hai,

Sunkar Jhankaar Aapki Paayal Ki Eh Sanam,
Mahfil Sangeet Ki Bejubaan Ho Gayi Hai,

Jab Se Meri Aap Se Mulakat Ho Gayi Hai,
Dost Kahte Hain Aap Meri Jaan Ho Gayi Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Dost Bahut Hain Lekein,
Har Dost Dil Ke Kareeb Hote Nahi,

Jo Sachha Dost Hai,
Woh Kabhi Gham Deta Nahi,

Dil Kehta Hai Ek Din,
Khushi Tere Kadam Chumegi,

Bharosa Rakhna Kismat Par,
Kyun Ki Kismat Bewafa Hote Nahi…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Khat Aapka Padha, Din Chakna Chur Ho Gaya,
Meri Aakhari Namaste, Main Majboor Ho Gaya,

Na Likhenge Khat Hum Aaj Ke Baad,
Yeh Socha Hai Humne Ro Ro Ke Aaj,

Karke Yaad Aapko Yun Hi Jiya Karenge,
Yeh Socha Hai Humne Ghut Ghut Ke Mara Karenge,

Bina Hasino Ke Hi Gujar Yeh Zindagi Karna,
Hasino Ki Dosti Se Achha Hai Khudkhusi Karnak…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Hum Phool Hain Gulab Sahi,
Daaman Kaanto Ne Thama Hai,

Apno Ne Hamein Thukraya Hai,
Haath Gairo Ne Thama Hai,

Roti Hai Aaj Hum Par Tanhai Humari,
Woh Bhi Na Paaye Shayad Parchhayi Humaari,

Tumhaari Dosti Ko Dekhkar Sabhi Rask Karta Hain,
Jo Bas Chalta To Duniya Chin Leti Zindagi Teri…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Khat Mein Likhe Huye Ranjish Ke Kalaam Yaad Aate Hain,
Kis Kayamat Ke Yeh Naame Mere Naam Aate Hain,

Tab E Nazaara Kise Dekhe Jo Unke Jalwe,
Bijliyan Kondhati Hain Jab Lam E Baam Aate Hain,

To Sahi Hasr Mein Tujh Se Jo Na Yeh Kahlwa Doo,
Dost Woh Hote Hain Jo Vakt Pe Kaam Aate Hain,

Sabr Karta Hai Kabhi Aur Tadpata Hai Kabhi,
Dil E Naakam Ko Apne Yeh Hi Kaam Aate Hain…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Kaid Karna Chahe Koi Zindagi Ko,
Rokna Chahe Ufanati Roshani Ko,

Jawani Mein Ang Ke Ubhrenge Nakshe,
Chhipa Le Muthhi Mein Kaise Chandani Ko,

Tod Lo Jo Tod Paao Chand Suraj,
Pakad Lo Jo Pakad Paao Kamsini Ko,

Aana Jana Chhod Doge Chaha Jitna,
Janchna Hoga Samay Ki Rahjani Ko,

Dosti Ki Baaten Karna Chahae Jitni,
Bhulna Mumkin Na Hoga Dushmani Ko,

Khush Toh Honge Dekhkar Foolon Ki Ghati,
Kya Karoge Jakham Khayi Diljali Ko…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Dost Bhi Zindagi Hai Aur Dushman Bhi,
Nark Ki Galiyan Hai Kabhi Chilman Bhi,

Nayi Nayi Hain Manjile Naye Naye Sapne,
Aakhiri Raat Shyah Kabhi Surkh Dulhan Bhi,

Saanp Ko Doodh Pilate Huye Sapera Mara,
Jahar Ki Thaliyan Rakhta Hai Dudhmuha Fan Bhi,

Apn Shaya Bhi Saath De Kab Tak,
Sagi Saheliyo Mein Koi Ek Soutan Bhi…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Abhi Baki Bacha Hai Thoda Safar,
Chalo Hon Kurban Fir Se Kisi Par,

Kaatni Toh Padegi Hi Jindgani,
Buhari Jaay Kisi Ki Rahgujar,

Dosti Ke Phool Dharti Par Khile,
Hansaye Toh Mohabbat Wali Najar,

Yaar Bachpan Ka Nahin Milta Hai Ab,
Par Sabhi Mein Toh Usi Jaise Hunar,

Khak Mein Toh Milega Sab Ek Din,
Jab Talak Jinda Hain Tabtalak Toh Nikhar…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Aadmi Man Maniyon Ka Shikar Hai,
Lobh Ka Putla Hai Jhoota Yaar Hai,

Kitane Kisse Chal Rahe Hain Bewafa Ke,
Lootne Walon Ki Toh Sarkar Hai,

Kahan Kitani Najar Rakhega Jamana,
Hawaon Se Uljhana Bekar Hai,

Dekha Bariki Se Tab Yeh Jaan Paaye,
Dost Apna Choro Ka Sardar Hai,

Dhire Dhire Rengati Duniya Hamari,
Dogalon Ki Kya Gajab Raftar Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Yeh Bahana Woh Bahana Mout Ka Bhi Kya Thikana,
Beej Se Jangal Ugakar Gul Khilana Gul Jhadana,

Khaatme Ka Sabab Hai Jo Us Se Asli Hai Dostana,
Bhid Ke Beech Ki Saajish Haadson Ka Sir Uthana,

Char Din Ki Jindgani Kya Kisi Ka Dil Dukhana,
Karishma Hai Sabse Achha Aadmi Ka Khil Khilana,

Thoda Thoda Sabki Khatir Apne Andar Kuchh Bachana,
Faksafa Hai Ek Yeh Bhi Raham Karna Bhool Jana…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Ek Samandar Ke Pyase Kinare The Hum,
Apna Paigam Lati Thi Mouj E Ravaa,

Aaj Do Rail Ki Patriyon Ki Tarah,
Sath Chalna Hai Aur Bolna Tak Nahin,

Lakdiyon Se Tarashi Huyi Ladkiyan,
Tin Ke Nojavaan Mukhtlif Rang Mein,

Dost Hain Dosti Se Magar Bekhabar,
Jaan E Dushman Hainlekin Khafa Tak Nahin,

Kesriya Rang Ke Gesuon Ki Ghata,
Aasmaa Rang Ke Kot Par Chha Gayi,

Narm Yaadon Ke Fariston Ke Parr,
Dudhiya Khamushi Aur Hawa Tak Nahin…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Teri Aankhon Mein Aisa Sanvar Jaaun Main,
Umar Bhar Aaino Ki Jarurat Na Ho,

Kis Ko Nilaam Karte Ho Baazar Mein,
Yeh Kisi Ghar Ke Mandir Ki Moorat Na Ho,

Dosti Ke Tarike Jaan Na Chahiye,
Husn Chahe Bahut Khusurat Na Ho,

Din Toh Nikla Kharida Hua Aadmi,
Eh Khuda Raat Bhi Sabki Aurat Na Ho,

Chhapron Par Diye Rakh Gayi Hai Hawa,
Taki Fir Roshni Ki Sikayat Na Ho…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Woh gajal ki jaise hiran ki aankho mein
Pichhali raat ki chandni,

Na bujhe viran ki roshni
Kabhi bechirag yeh ghar na ho,

Kabhi din ki dhup mein jhum kar
Kabhi raat ke phool ko choom kar,

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Na Khusi De Toh Kuchh Dilasha,
Dost Jaise Ho Mujhko Bahla De,

Chetna Se Mili Hai Tanhai,
Aa Meri Jaan Mujhko Dhoka De,

Ab Toh Poorti Ki Bhi Shart Nahi,
Zindagi Ab Toh Ek Tamanna De,

Eh Safar Itna Bekar To Na Jaa,
Na Ho Manjil Kahin Toh Pahuncha De,

Tark Karna Hai Gar Taallk Toh,
Khud Na Jaa Tu Kisi Se Kahla De…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Tumko Samjhaata Hu Isliye Eh Dost,
Kyuki Sabko Hi Aajma Chuka Hu Main,

Kahin Tumko Bhi Pachhtana Na Pade Yahan,
Kyonki Hasino Se Dhokha Kha Chuka Hu Main…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Dost Na Samjha Kya Hua, Dushman Hi Sahi,
Hum, Dushmani Bhi, Unko Nibhakar Dikhayenge,

Unhone Jo Manga Hai, Hamare Pyar Ke Badle,
Aap Dekhna, Hum Jaan Bhi Unko De Jaayenge…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Hum Khus Hain Yarab Ab Apni Is Zindagi Se,
Jismein Hamein Aap Jaisa Ek Dost Mila Hai,

Hamari Zindagi Ke Gulshan Mein Thi Patjhad Magar,
Aaj Is Gulistaa Mein Bhi Ek Phool Khila Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Aaj Socha Hai Yeh Sagar Ne Ki,
Kyu Na Zindagi Ko Aajmayein Hum,

Dushman Toh Bahut Banakar Dekh Liye,
Kyu Na Ab Ek Dost Banayein Hum…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Aapki Khusiyon Ki Tamanna Nahi Hai Hamein,
Hum Toh Aapke Gham Ko Apnana Chahte Hain,

Aap Ko Jab Samajh Liya Hai Dost Apna,
Hum Toh Bas Yeh Dosti Nibhana Chahte Hain…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Tum Kya Sochte Ho,

Kya Dekhte Ho,

Kya Janate Ho Mere Baare Mein,

Jis Cheez Ke Liye Tum Mujhe Chahte Ho,

Main Wahi Karta Hun,

Sirf Apna Kaam,

Dilo Jaan Se,

Jiske Liye,

Tum Mere Jaisa Banna Chahate Ho….

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Kya Bataaye Aapko Eh Mere Aziz Dost,
Ki Apni Zindagi Ke Din Hum Kaise Katate Hain,

Logon Ne Toh Diye Hain Hamein Jakham Hardam,
Magar Hum Na Jaane Kyu Khusiyan Hi Bantate Hain…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Bas Ik Tamanna Hai Baaki,
Agar Maan Le Yeh Khuda Mera,

Jise Mujhse Kiya Tha Door Kabhi,
Woh Bichhuda Yaar Mila De Mera…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Tum Bhi Thukra Do Ab Mujhko,
Main Hun Hi Is Kaabil Eh Dost,

Nahi Koi Achhayi Paas Mere,
Mujh Mein Toh Hain Bas Dosh Hi Dosh…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Yeh Maana Ke Hum Garib Hain Eh Duniya Walon,
Magar Hamein Bhi Ek Dost Banane Ki Izaazat De Do,

Yeh Maana Ki Hamein Khusiyan Maangane Ka Hak Nahi Hai,
Magar Us Dost Ke Gham Apnaane Ki Izaazat De Do…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Wafa Sabse Karne Ka Hamein Yeh Sila Mila,
Humko Is Jamane Se Hamesha Gila Mila,

Ab Aur Kya Kahu Main Aapse Eh Mere Dosto,
Hamein Toh Jo Bhi Dost Mila Bewafa Mila…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Khush Raho Aap Eh Mere Dost Sada Yun Hi,
Zindagi Hoti Bhi Khusiyon Ko Paane Ke Liye Hai,

Magar Sagar Ke Baare Mein Na Puchhna Aap Kabhi,
Is Ki Zindagi Toh Bas Jamane Ke Liye Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Jis Gull Ki Tamanna Thi Hamein Zindagi Mein,
Shayad Woh Gull Kisi Gulistaa Mein Khila Nahi,

Jaise Dost Ki Tamanna Thi Hamein Zindagi Mein,
Vaisa Dost Hamein Kabhi Aajj Tak Mila Nahi…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Humne Toh Kaha Tha Aapse Eh Mere Dost,
Ki Aap Humse Dosti Nibha Na Paaoge,

Aap Toh Shayad Bhool Bhi Jaaoge Hamein,
Magar Sagar Ko Aap Hamesha Yaad Aaoge…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Yahan Koun Rota Hai Kisi Ke Liye Sagar,
Sab Apni Hi Kisi Baat Par Rote Hain,

Yahan Milta Hai Sachha Saathi Muskil Se,
Baaki Toh Sab Matlab Ke Yaar Hote Hain…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Aise Hi Rakhna Mujhko Eh Mere Khuda,
Meri Dosti Sada Aise Hi Paak Rahe,

Sagar Mar Bhi Jaaye Koi Gham Na Ho,
Marne Ke Baad Sada Doston Ko Yaad Rahe…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Chand Toh Aata Hai Roj Raaton Ko Magar ,
Na Jaane Chandani Ko Kyun Saath Le Aata Hai,

Bahut Koshish Ki Use Bhulane Ki Magar,
Fir Bhi Jaane Kyun Woh Dost Bahut Yaad Aata Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Apne Aap Kpo Toh Hum Samjha Lenge,
Magar Dil Mera Yeh Manta Hi Nahi,

Humne Toh Dekhi Hai Bewafayi Aapki,
Aap Bewafa Ho Dil Jaanta Hi Nahi….

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Zamane Wale Mil Gaye Hain Sabhi Ek Doosre Se,
Milkar Sabhi Ne Mujh Akele Ko Mara Hai,

Tu Bhi Mat Ho Jana Bewafa Sabhi Ki Tarah,
Eh Mere Dost Sagar Ko Bas Tera Sahara Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Dhund Kar Hum Thak Chuke Hain Dost Mere,
Koun Si Galiyon Mein Jaane Tum Kho Gaye,

Ab Aur Kahan Thikana Hai Is Gareeb Ka,
Jakar Tabhi Kabr Mein Hum So Gaye…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Sach Hai Mujhe Kisi Ki Bhi Pahchan Nahi,
Dost Ke Roop Mein Sada Hi Dushman Mile,

Mere Hisse Toh Aaye Hain Sada Hi Kaante,
Phool Na Jaane Kiski Bagiya Mein Khile…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Kaash Hamara Bhi Hota Dost Koi,
Hamara Jaadu Bhi Kisi Par Chal Pata,

Kabhi Mujhko Bhi Deta Moula Himaat,
Yeh Sagar Bhi Dil Ki Kah Pata…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Mujhe Kah Do Tum Alwida Yaaro,
Mujhe Lout Ke Aane Ko Mat Kahna,

Yeh Kasam Hai Tumko Meri Yaaro,
Tum Mere Liye Dukhi Mat Rahna…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Dosti Ka Farz Yun Hi Nibhate Rahenge,
Vakt Bevakt Aapko Satate Rahenge,

Dua Karo Ke Umar Lambi Ho Hamari,
Varna Yaad Ban Ke Aapko Satate Rahenge….

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Chup Rahte Hain Ke Koi Khata Na Ho Jaaye,
Humse Koi Ruswa Na Ho Jaaye,

Badi Muskil Se Koi Apna Bana Hai,
Milne Se Pahle Hi Juda Na Ho Jaaye…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Ishq Mohabbat Toh Hazaron Karte Hain,
Gham E Judai Se Woh Sabhi Darte Hain,

Hum Toh Na Ishq Karte Hain, Na Mohabbat Karte Hain,
Hum Toh Bas Dosto Ki Ek Muskurahat Par Marte Hain….

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Dosti Ka Safar Bhi Kitna Suhana Hota Hai
Kabhi Hasna To Kabhi Rulana Hota Hai

Dil To Kehta Hai Sath Rahe Zindagi Bhar Lekin
Sabhi Ko Ek Din Bichad Jana Hota Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hai

Dil Na Chah Kar Bhi Khamosh Rahe Jata Hai

Koi Sab Kuch Kehkar Dosti Jatata Hai

To Koi Kuch Na Keh Kar Bhi Dosti Nibhata Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Nikalte Hai Aansoo Job Mulakat Nahi Hoti

Toot Jata Hai Dil Jab Bai Nahi Hoti

Teri Jaan Ki Kasam A Dost

Jab Tu Yad Na Aye

Aisi Koi Shaam Nahi Hoti…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Is Nazar Ko Tera Intezaar Rehta Hai

Dil Tumse Milne Ko Beqaraar Hota Hai

Tum Hamse Milo Na Milo

Phir Bhi is Dil Main Teri Dosti Ka Pyar Rehta Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Hothon Pe Dosti Ke Fasane Nahi Aate,
Sahil Pe Samandar Ke Khazane Nahi Aate,

Udne Do Parindon Ko Abhi Shokh Hawa Mein,
Fir Laut Kar College Ke Zamane Nahi Aate…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Hasi Ke Raste Pe Chala Karo,
Khushiyo Ki Mahak Liya Karo,

Pyar Se Dilon Ko Chuha Karo,
Jahan Tumhe Gum Nazar Aaye,

Is Nacheez Ko Yaad Kiya Karo,
Har Kali Tujhse Khushboo Udhar Mange,

Aftab Tujhse Noor Udhar Mange,
Rab Kare Tu Dosti Aisi Nibhaye Ki Log Teri Dosti Udhar Mange…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Dosti Mein Dooriyan To Aati Rehti Hain,
Phir Bhi Dosti Dilo Ko Mila Deti Hai,

Wo Dost Hi Kya Jo Naraz Na Ho,
Per Sachi Dosti Dosto Ko Mana Leti Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Tujhe Dekhe Bina Teri Tasweer Bana Sakta Hoon,

Tujhse Mile Bina Tera Haal Bata Sakta Hoon,

Hai Meri Dosti Mein Itna Dum,

Apni Aankh Ka Aansu Teri Aankh Se Gira Sakta Hoon…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories

Har Kadam Par Imtihaan Leti Hai Zindagi,

Har Waqt Naya Sadma Deti Hai Zindagi,

Hum Zindagi Se Kya Shikwa Kare,

Aap Jaise Dost Bhi To Deti Hai Zindagi…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Koi Khud Se Bhi Pyaara Hota Hai,

Koi To Dil Ka Sahara Hota Hai,

Jaruri Nahi Zindagi Apne Liye Hi Pyaari Ho,

Zindagi Mein Koi To Zindagi Se Bhi Pyaara Hota Hai…

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Feedback  | Contact us  | Disclaimer