Back
Anil rajoria's Joke
Khaufnaak Din

Mera naam Rahmanhai aur main ek aisi kahaani upload karne jaa raha hu jisse aapko sikh mile. Meri iss sacchi kahani main love bhi hai, comedy bhi aur zindagi ko jine ka tarika bhi.

Bhai logo insaan jab paida hota hai toh usko yeh nai pata hota ki woh kis pinjre main aa gaya hai aur jaise jaise badha hota jaata hai waise waise use anubhav ho jata hai ki woh kis jagah phansa hai.

Filhaal main shuru se jab se maine hosh sambhala hai tab se padhai main acha raha hu. Hamesha class main responsive rehna aur cool rehna kisi bhi situation main mera attitude hai.

Aur sab ki help karta hu aur har insaan ko apna samajhkar har chiz main uski madad karta hu. Yehi mera pesha hai warna mera iss duniya main aana bekaar hai. Ek din mujhe ek apne morning assembly main ek ladhki dikhayi di. Woh mujhe bahut pyari lagi aur maine use apna banaane ki sochi.

Ek khwab main kho sa gaya tha main jisse shayad bahar aana mushkil tha. 8 class main tha main. Aur woh bhi 8 class main. Sabko pata hai ki 8 class main baccha masoom hota hai. Use duniya ki kuch khabar nai rehti. Magar shayad jisko chaha tha woh shayad masoom na thi. Maine valentines day ke din usko propose karne ki sochi magar main uss din phool le jana bhul gaya.

Mere frnds ne kaha ki main boarding main se jaakar uske liye phool le aau. Toh main phool todhne chala gaya aur mujhe phool todhte main PTI sir ne dekh liya. Woh mere piche bhaag rahe the mujhe pakadhne ke liye aur main unse bach raha tha. Aakhir jaan bacha kar main apni rani ke paas pahucha.

Usko phool diya aur usne sirf ek smile paas kari aur main uska ishara samajh gaya. Hamari relationship start hui. Bhai logo hamari relationship chal he rai thi ki koi aur ladhka school main enter kara aur usne uske liye mujhe chodh diya. Woh ladhka ek gunda tha. Use sirf ladhkiyo ko use karna aata tha. Apni gf ko main aise nai dekh saka magar meri usne ek nai maani aur usne uske saath naata jodh liya.

Phir kuch dino baad us ladhke ko police utha kar le gayi kyuki usne ki police wale ki ladhki ko chedh diya tha. Magar yeh the end nai tha. Main usko maaf karne ko tayyar tha. Magar phir ek ladhka jisko sab kashmiri kehte the usne usko pata liya. Unka bhi relationship bahut aage tak raha. Woh bhi ek gunda tha. Phir usne kashmiri ko chodh kar ek aur ko pakda. Gundo ko boyfriend banana aur meri feelings ke saath khelna toh uska shock sa ban gaya tha.

Itni sab baatein dekhne ke baawajud main usko maaf karne ko ready tha. But usko toh mujh jaise bande main kidhe nazar aate the although i was the handsome and dashing one in the school but main sidha tha aur sidhapan toh aajkal logo ko raas nai aata.

Maine use fb par msg kare magar usne meri ek nai maani. Usko maine bahut chaha tha. Tootkar pyar kara. Magar woh hai ki sunti nai. Bhai logo agar maine aap logo ko apne messages dikha diye toh aap log ro doge. Bhaio mera 10 class main 9.0 cgpa aaya tha aur phir main bahut khush ho kar usko batane gaya. Us din main usse kaha ki mujhe jaisa tujhe kahi nai milega.

Main tera kabhi saath nai chodunga. Hamesha tera haath apne haath main thaame rakhunga. Aur tujhe kisi bhi chiz ki zarurat hogi, meri aukaat se agar woh chiz bahar bhi hogi toh woh main tujhe laakar dunga. Magar woh phir bhi nai maani. Kismat ne mere saath mere bhaio bahut bura khel khela. Maine 11 class main admission dusre college main liye magar waha par partiality hoti thi. Bahut mushkil se maine 12 kara aur woh bhi 73 percent se. Bhaio ek ek din mera mushkil se guzarta tha magar mere friends bahut ache the. Unhone mere liye waqt ko kaatna aasaan bana diye. Aaj main b.tech first year main hu.

Usko bhulane ki maine bahut koshish ki magar bhula nai paaya. Hamesha uske upar khicha chala gya. Magar ab life main soch liya hai ki main piche mudhkar nai dekhunga. Bhai logo zindagi ek pinjra hai. Its just like a cage. Yaha har tarah ke khel hote hai aur har tarah ke log aate hai magar hume sirf apni raah chalte rehna chahiye. Ache dosto ko kabhi nai bhulna chahiye aur kisi ka dil nai dukhana chaiye. Mera dil dukha hai aur aap main se bahut logo ka dukha hoga. But its a life and its an ongoing process. Never mind! Main usko bhul chuka hu. Mera 12 barbaad ho gaya, jee qualify nai kar paaya, har entrance exam se reject ho gya.

Magar bhaio mera ek passion hai ki main ek physics ka teacher banna chahta hu. Bahut passionate hu padhane ke liye. Bhai logo jo bhi kaam karo usko full passion ke saath karo kyuki aap logo ke andar ek na ek talent zarur hai. Aap usko khojiye. Aur maine toh nuqsaan utha liye but aap log sambhal kar rahe.

Life main insaan ko baar baar chance de kar na aazmaye kyuki hamari zindagi toh khud chance par tiki hai. Yeh pata nai kab hai aur kab nai. Jaate jaate ek baat kahunga ki zindagi ek experince hai.

Oct,14 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Feedback  | Contact us  | Disclaimer