Back
Sad Story
Kyu hua aisa?

Aisa Q Hota Hai.
Ham Jise Apne Aap Se Jayada Us Se Payar Krte Hai.
Wahi Hum Ko Samajh Nai Pata

Uploaded By: Praveen Nov,12 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Sad Story

Hi dosto, Mera name sanjay hai. Aur mai apko apni ek real sad story batana chahata hu.
Es duniya ki bheed mein jaisay mein kho saa gaya tha.
Naukri ki bhaaga daudi mein kuch aisa khoya ki pyar karnay ko kabhi time hi nahi mila. Jaisay ki pyar shabad toh meri dictionary mein hi nahi tha. Bas roj Bus stop par ghanto baithay rehna. ghanto bus ka intezaar karna aur phir office challay jana. Bas yahi roj ka kaam tha.
Sochta hu agar etna hi intezar kisi ladki ka kiya hota toh aaj akela na hota.
Magar mein nahi jaanta tha ki aaj k din kuch khaas honay wala tha…
Mein apne friend k saath lunch karnay k liye bahar nikla tabhi…
Neha:”Chalo aaj restaurant mein chaltay hai”
Me:”ha chalo”
Aur phir hum dono lunch k liye pass k hi restaurant mein challay gaye. Bas yahi wo jaga thi jahan aaj kuch alag honay wala tha. Jo mein bhi nahi jaanta tha.
Hum dono restaurant mein baithay aur phir lunch kiya. Ab bhi hamaray pass 30 mints hai. Toh hum dono yaha waha ki baatay karney lagay.


Pata nahi kyu aaj mein bahut kush tha, tabhi meri nazar padi us pe… wo sunder c ladki. Sach kahu toh meine aaj tak etni sunder ladki nahi dekhi thi. Meri nazerein toh  toh bas usi par hi thehar gayi thi jaisay. Dil chahta tha bas usi ko dekhta rahu. Par kya karey thodi hi der mein hamarey office ka time ho gaya aur hamay jana pada.
Dil toh nahi tha jaanay ka!!!
Mein jaatay jaatay bhi bas usi ko dekhta raha.
Hum dono jab sidiyon(stairs) se nichay utar rahay thay tabhi ek chota sa ladka hamsay takratey huay nikla. Pata nahi usay kis baat ki jaldi
thi, khair wo chala gaya. aur hum dono bhi chalay gaye.
Aglay din mein phir usi restaurant mein ja pahucha aur thik usi hi jaga par ja kar baith gaya jaha pehlay din baitha tha. Aur meri nazar phir usi ladki par padi, wo ladki bhi wahi baithi hui thi. Mein uska naam toh nahi jaanta tha lekin meine usko naam diya “ROSHANI”.
Mein Roshani ko bahut der tak u hi dekhta raha aur muskurata raha, aur wo bhi muskurati rahi. Par thodi der mein mere office ka time ho gaya, aur mujhe phir se jaana pada. Mein usay dekh kar waha se uth kar chala gaya esi intezar mein ki kal phir se milu ga.
Aglay din phir mein usi restaurant  mein pahunch gaya aur usko dekhnay laga. Na jaanay wok aha khoyi hui thi. Par aaj usnay mujhe dekh kar smile di aurmein kush ho gaya. aur meine soch liya aaj esay apna mobile number dekar jaau ga.
Meine apni pocket se pen nikala aur kagaj(paper) dhundnay laga then mere side mein ek kagaj ka tukada pada tha meine usay uthaya aur usi par apna number likhna shuru kar diya aur meine apna number uskay table par rakh kar chala gaya.
Aglay din mein office k bahar apne doston se baat kar raha tha, par mera dhyan toh mere mobile par tha. Mein baar baar apna mobile dekhta aur doston se baat karta, mujhe intezar tha ki shaid aaj uska phone aa jaaye. Tabhi mere doston ne kaha kit u baar baar apna mobile kyu dekh raha hai. Meine unki baatoh ko taal diya aur waha se chala gaya.
Mein phir restaurant mein pahunch gaya aur apnay mobile ko dekhnay laga. Roshni bhi wahi baithi thi. Mein usko dekhta raha aur apne mobile ko dekhta raha umid thi ki shaid wo mujhe call karegi. Kaafi der waha baithay rehnay k baad. Mein waha se jaanay laga. Aur jaatay jaatay meine suna”HA 14TH FEB”. 14th feb sun kar na janay mein kyu kush ho gaya. mein ghar aakar bhi yahi sochney laga yeh 14th feb ko kya hai? Kaafi der tak mein yahi sochta raha ki wo mujhse ki wo mujhse kya kehna chah rahi thi.
14th feb ……14th feb ko kya hai? Mein soch hi raha tha tabhi mere mobile par ek msg aaya. Dekha toh mere dost rahul ka msg tha “HAPPY VALENTINES DAY”. Mein kush ho gaya. mujhe pata lag gaya ki wo mujhe valentines day par bulla rahi hai.
Aglay hi din mein office se jaldi nikal gaya. aaj pata nahi kyu mein bahut hi khush tha.
Raastey mein ek bouquet ki shop se meine ek acha sa bouquet meine liya, socha khali haath jana acha nahi lagta, es liye meine bouquet le liya. Aur waisay bhi yeh mera pehla Valentines Day tha, mein bahut khush tha. aaj tak meine bouquets parties mein hi diye hai, pehli baar kisi ladki ko dene jar aha tha.
Meine phir usi restaurant mein pahucha aur thik wahi jaga par ja kar baith gaya jaha mein hamesha baitha karta tha. Aaj mein bahut khush tha. Kyuki mein aaj pehli baar kisi ko bouquet denay ja raha tha. Aur wo bhi usay jisay mein pyar karta hu. Waisay toh mujhe pata bhi nahi chala ki yeh pyar kab ho gaya lekin ha hua.
Wo bhi wahi baithi hui thi. Mein kabhi bouquet ko dekhta aur kabhi usay dekhta. Tabhi wo bach Roshni k pass aaya jo mujhse us din restaurant k bahar takraya tha sidiyon(stairs) par. Mein sochnay laga ki yeh bacha yaha kya kar raha hai.
Wo bacha Roshni k pass baith gaya aur wo us se hass hass kar baat karnay lagi. Mein pichay baithay baithay yahi soch raha tha ki akhir yeh bacha kaun hai. Aur wo Roshni k pass kya kar raha hai. Chalo chodo wo bacha job hi homujhe toh aaj usay apna bouquet dena tha.
Mein jaisay hi utha wo bacha bhi utha. Us bachay ne Roshni ka hath pakda aur roshni khadi hui.
Lekin ab wo baat saamnay aayi jo mein sapne mein bhi nahi soch sakta tha. Jis ladki ka naam meine Roshni rakha tha. Us ladki ki ankhon ki roshni hi nahi thi. Mein kuch na kar saka.mein samaj hi nahi sakta thaki mein kya karu. Mein bas wahi khada raha. Jab tak kuch samaj mein aata wo log waha se jaa chukay thay.
Lekin sach kahu mein toot sa gaya tha. Par meine soch liya tha wo jaisi bhi ho pyar toh mein usi se karta hu. Chahay jaisi bhi ho mein usay apnau ga.
Aur mein aglay din mein wapis waha pahunch gaya apr aaj wo nahi aayi thi. Tabhi meine ek waiter se pucha, ki wo ladki joy aha aati thi wokaun hai.
Waiter:”us ladki ki ankhon ki roshni hi nahi thi. Wo apney bhai ko roj school chodney aaya karti thi. Aur tab tak yahi baithey raha karti thi jab tak uska bhai school se wapis nahi aa jata. Uskay bhai ka school yaha pass mein hi hai. Es liye wo apni bhen ko yaha baitha jaya karta tha.”
Me:”par wo rehti kaha hai”
Waiter:”mein yeh nahi jaanta, jitna mujhe maaloom hai meine aap ko utna bata diya.”
Etna sab sun ne k baad bas ek hi awaz aayi “hope I met u”- shaid hum phir se millay, aur I still lov u. mein hamesha tumhe chata rahu gaa. Kyu ki tumne hi es dil ko dhadkna sikhaya. Mein tumhara intezar karu ga.
I hope aap ko meri yeh sad love story pasand aayi ho.

Uploaded By: Aakash Oct,20 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Ladkiyo Ka Pyaar

Doston this is ashutosh mishra jo aap logo ke saath apni felling is love story (in Hindi) ke thru share karne ja raha hai

mujhe laga nai tha jo ladki clg mein top karti hai use mujhse pyaar ho jayega!

Sad Love Story in Hindihamesha ek dusre ko dekhkar hasna aur esaro mein baatein karna ye hamesha hua karta tha! hastein hastein aur esaro esaro mein hum kab relationshp mein aa gaye hume khud pata na chala! fir hum hanesha clg saath jaya karte the aur aya karte the! mein us ladki ke smyl par fida tha isliye uske karan mein clg mein kuch aisa karta tha jisse uske chehre par hasi aye aur mere dil ko tasali mile!

aise hi hamara relationshp aage chalta gaya! bt aise b din aye jis din uske ghar par hamare bare mein sab pata chal gaya aur use uske gharvale ne bechari ko bahut mara mujhe laga ab mere b maar khane ke din aa gaye bt aisa hua na! agle din vo cls mein aayi to uske aankhen dekhkar mujhe khud rona aa gaya tha bt us samay mein usse kuch bol na saka! uski ek sistr thi jo uska hamesha help kiya karti thi! uske sistr ki vajah se hamara relatn vapas chalu ho gaya!

hum apni feeling ek dusre se share karte the jisse hamare prblm kam ho! ghar mein financial prblm ki vajah se mein part tym job kiya karta tha! jiske karan mein uske saath kahi ja nai pata tha!isliye mene use permisn dedi thi ki 2 apne frnds ke saath ghumne jayakar!bt usme se ek aisa b frnd tha jo use lyk karta tha!

vo frnd paise vala tha!to ek bar vo n frnd pic dekhne gaye bt mujhe nai pucha 2 b ayega kya us samay mujhe bahut hurt hua ki meri gf ne b mujhse na pucha ki 2 ayega kya! baad mein koi mujhe tana mar raha tha ki teri gf ne ek chiz ko haath kya laga di vo chiz uske frnd ne use gift kar di!

vo paise vala tha! aur mein kaha!

baad mein gf ne kaha mein 2jhe tens nai dena chahti 2 apni lyf enjy kar aur mujhe chhod gayi!


Kya ladkiyan aisa hi pyar karti hain?

Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Chane Wali Cheez Kabhi Milti Nai

Hi friends… I m Pawan
mai aapse apni love story share karna chahta hu.
Kahte h agar kisi chiz ko sache dil se chaho to saari kaiyanath tumhe usse milane me lag jati h.
Friends meri story vi kuch is tarah h jab mai 11th std me padhta tha tab meri class me ek new student aai,wo mujhe bahut achi lagti thi,fir maine usse pucha aapka naam kya h usne kaha Damini,fir roz class me mai usi k sath bathta tha,mai use dhire-dhire like karne laga,or wo like dhire dhire pyar me badal gaya.mujhe Damini se pyar ho gaya tha.

friends kabhi vi ek ladka or ek ladki dost ni rah sakte kyuki dosti ke baad hota h pyar,maine Damini ko fb pe friend request bheji, usne accept kr li fir hum pure din fb pe hi baate kiya karte the,Damini mujhse pyar karti thi ya nahi ye mai nahi janta tha but mai use bahut pyar karta tha,mai use propose karna chahta tha,btana chahta tha ki mai usse bahut pyar karta hu.fir Damini ka birthday aane wala tha usne mujhe apne birthday par invite bhi kiya,fir maine decide kiya ki mai use uske birthday wale din hi propose karunga.

Maine class me Damini ko propose kar diya,usne sharma k haa kr di, us din mai bahut khush tha,fir shaam ko mai uske birthday party par ghar gaya or wish kiya. Friends aise hi time beet gaya hum 12th class me pahuch gaye. Mai Damini ko abhi vi utna hi pyar karta tha jitna pahle karta tha, wo vi mujhe bahut chahti thi. But dhire dhire mujhe Damini me changes najar aane lage,wo class me ab mere sath ni baithti thi, mai use ghar pe call vi karta to wo kahti ki avi mai busy hu baad me call karna, ek din wo school ni aai, mera zara vi class me mann ni lag ra tha,kyuki mai saara din usi k sath baithkar baate karta tha, friends mai use bahut bahut bahut pyar karta tha.
Mujhe aisa lagta tha ki wo dhire dhire mujhse door jaa rahi h. Fir maine usse baat ki,maine kaha kya baat h Damini tum aajkal mujhse thik se baat vi nahi kar rahi ho. Usne kaha kuch ni bas aajkal thodi tabiayat kharab h meri, maine kaha plz Damini aapne doctor Ko dikhaya,usne kaha mai thik hu.maine kaha plz apna khayal rakhna or meri zara vi jarurat ho to pls call karna.fir next day jab mai school gaya to maine kaha Damini ab aapki kaisi tabiayat h,usne kaha thik h,maine kaha kya baat h aaj akele baithe ho aap, usne kaha plz Pawan mujhe akela rahne do mai aapse jyada baat nahi karna chahti, maine kaha its ok or chala gaya, jab school ki chhuti hui to maine dekha ki Damini kisi aur ladke k saath jaa rahi thi, wo roz mere saat jati thi.
Mujhe dekhkar bahut bura laga, fir ghar jakar maine Damini ko call kiya, usne kaha ki avi mai kuch baat ni karna chahti shaam ko pls mujhse milo, fir shaam ko mai Damini se milne gaya maine kaha kaun tha wo ladka jiske sath tum jaa ri thi, usne kaha wo mera naya bf h or mai usse pyaar karti hu or wo vi mujhse pyar karta h, ye sab sunkar mujhe bahut bura laga.
Maine kaha plz Damini mujhe dekho kya kami h mujhme, maine kabhi aaj tak tumhe koi taklief di,plz Damini mai tumhe hamesha khush dekhna chahta hu,mai tumse sacha pyaar karta hu Damini plz mujhe chhod kar mat jana yaar, usne kaha sorry mai ab tumse koi relation nahi rakhna chahti. Mai ghar jakar bahut roya shayad pahli baar mai itna roya tha, mai Damini ko khona nahi chahta tha. Class me bhi maine kai baar Damini se bola plz Damini mujhse koi galti hui ho to plz mujhe maff kar do but plz mujhse friendship mat todo.
Usne kaha its over ab yaha tamasha mat karo pls jaao. Us din bhi mai bahut roya mere man me ek hi khayal aa raha tha ki mai sucied kar lu but isse koi faiyda nahi tha. Problem ye thi ki jis ladke ko Damini chahti thi uska naam raaj tha wo paise wala tha is wajah se Damini ko usne attract kr liya, Damini ko raaj ka background malum nahi tha wo isi tarah kai ladkiyo ko apne friendship k jaal me fasata or unke saath s…..x karne k baad chhod deta tha.
Maine Damini ko kai baar uske baare me bataya but use laga ki mai jhoot bol raha hu.fir maine bhi apne dil ko sambhal liya or ab uske baare sochna chhod diya but jab vi aankhe band karta hu to mujhe sirf Damini ka hi chahra najar aata h.
Friends jaruri nahi ki jise aap chaho wo aapko mile, jo aapko chahe aap vi use usse jyada chaho, means use bahut pyar karo.
Thank u so much friends for read this story

Uploaded By: Abdullah.khan
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Top Categories
Feedback  | Contact us  | Disclaimer